Shayri in Hindi Nd English

 किसी को मोहब्बत की
सच्चाई मार डालेगी,
किसी को मोहब्बत की
गहराई मार डालेगी,
करके मोहब्बत
कोई नहीं बचेगा,
जो बच गया उसे
तन्हाई मार डालेगी

Ek Ehsas...

Tum aaye zindagi mein ek haseen ehsas bankar,
Aur dil mein bas gaye dhadkano ki har saans bankar,

Tum hi goonjte ho meri geeton mein awaz bankar,
Tum hi baste ho merin nazmo mein alfaz bankar,

Kash kabhi aajao zindagi mein
mere hamraz bankar...

Dil ki baat ...

Tum phir duir chale jaoge
kaise kahein kitna humhe tadpaoge

baaton baaton mei teri baat aayege
dil ki baat tumse na kah paayenge

hawa bhee choo ker tujhe mere paas na aayegee
har subah teri yaad humhe tadpaayegee

raat chamkenge sitaare aur ichha bhee machlege
baarish ki boondein bhee tapish na bujhaayege

yeh aankhe har aur kisi apne ko dhoondheinge
ban kar aansoo aankho mei yaadein machelge

dil ko raund kar jo bheer mei kho jaoge
jaane kaise phir tum bhee so paayoge...

Naam Shayari

Garmi Hasrate Na Kaam Se Jal Jati Hai,
Ham Charago Ki Tarah Shaan Se Jal Jate Hai,
Shama Jis Aag Me Jalti Hai Numaish Ke Liye,
Hum Ussi Aag Me Gum-Naam Se Jal Jate Hai,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Sath,
Jane Kyu Log Mere Naam Se Jal Jate Hai.

Dil Churane Ada Shayari

Ek Ada Aapki Dil Churane Ki
Ek Adda Aapki Dil Me Bas Jaane Ki
Chehraa Apka Chand K Jaisa
Aur Ek Zid Hamari Uss Chand Ko Paane Ki

Zindagi Ajeeb Shayari

Zindagi Ajeeb Mod Par Layi Hai
Na Tu Hai Na Teri Parchayi Hai
Ishq Hai Dil-E-Nadan Ko Tujhse
Par Tu Aaj Tak Samajh Nahi Payi Hai

Humaari Pak Mohabbat Shayari

Humaari Pak Mohabbat Ko Wo Shauk-O-Mauj Samajh Baithe
Roohani Mohabbat Thi Meri 'Jismaani Chah Samajh Baithe
Nahi Chaha Tha Rukmaini Ban Na 'Chaha Tha Meera Ban Na
Kya Chaha Tha Humne Or Wo Kya Samajh Baithe
Chaha Tha Sharike Gham Hona 'Dard Lekar Chand Khushiyan Dena'
Hamaari Is Chahat Ko Wo Ik Vyaapar Samajh Baithe
Hum Na The Unke Kaabil Ya Wo The Hamaare Nakabil
Hum Na Ye Samajh Sake Wo Bhi Na Humein Samjha Sake
Hum Rote Rahe Tanha- Tanha Unse Na Kiya Shikwa Kabhi
Humari Is Sanjeedgi Ko Wo Daure Umar Samajh Baithe
Her Sitam Sahe Unke Chupchaap Per Ab To Had Ho Gayi Sahene Ki
Ki Humaare Pyaar Ko Wo Bajaaroo Pyaar Samajh Baithe
Ye Nahin Hein Chand Alfaaj Ye Qatre Hein Mere Darde Dil Ke
Ab Bhi Na Samjhe Gar Wo Humko Hum Unhe Nasamajh Keh Baithe

Ek Ladki Patake Shayari

Ek Boond Se Sagar Nahi Banta
Rone Se Mukaddar Nahin Banta
Patana Hai To Pura Girls Hostel Patao
Ek Ladki Patake Koi Sikandar Nahin Banta
 Aisi Dosti Shayari

Mahak Jiski Kam Nahi Hoti
Aisi Dosti Kabhi Khatam Nahi Hoti
Sath Agar Ho Zindagi Me Aap Jaise Dosto Ka
To Zindagi Kisi Jannat Se Kam Nahi Hoti

Comments

Popular posts from this blog

My Past Experiance( True Love Story)

10 Tips to make your Laptop Battery last longer

True Funny News Stories